Wednesday, April 29, 2015

Aye Jigida

Song: Aye Jigida
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Vishal Dadlani
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt


Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida


Ho koi keh do taaron ko itna na jhuke
Sooraj mombatti ban meri raaton mein jale
Har manzil besabri se dastak hai kare
Laqeerein haathon ki meri marzi pe mude

Kora kaagaz diya hai haathon mein mere
Pehan ke jaaun jo bhi waise din honge mere
Yaar langtotiya hain yeh..
Khuda bhi jo mera karta hai hamesha,
Jo bhi mann mein ho mere

Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida (x2)

Mere ishaaron pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere
Mere ishaaron pe hi hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi to leta chanda phere

Khwahishon ki dukaan pe
Mera khaata hai chalta ji
Kismat ka bhi toh choga
Mere naap se kat'ta banta hai ji
Oon ke gole jaisi
Raahein khulti aisi
Mere pairon ke tale
Meri manzil hogi agar
Aaj yahaan se behtar
Khud se hi aake woh toh
Mere piche daude chale

Aye jigda jigda
Aye jigda jigda
Aye jigda jigda
Aye aye jigda jigda (x2)

Mujhse jo hain bhale woh
Karte sau paintare jo
Lagta nahi unse darr mujhko..
Roko chakke ki jaam se
Main toh bhai kood-phaand ke
Kar doonga aage yaar main khudko

Daanv ke pench leke
Paala zoron se khench ke
Kas doonga main jeet ke main purje
Mujhko zameen pe baandho
Karlo door aasmaan ko
Main toh phir bhi ud jaaun phurr se

Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida (x2)


Rumaani Sa

Song: Rumaani Sa
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Raghu Dixit
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Aaha aaha...

Kuch toh thi akal dil mein
Hoke bedakhal dil ne..
Shekhi maar ke humse
Sab kuch haar ke phir se

Khawabon ki khurchan se
Din yeh kureda hai
Gutthi yeh kholi hai
Tumne humne..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Aaha aaha, aaha aaha
Aaha aaha, aaha aaha..

Waadon ke khule baste
Mehange daam pe saste
Milte hain jahaan humko
Woh hain ishq ke raste..

Wahaan dopeharon se
Hasti karari si
Dhoop utaarenge
Tu jo keh de..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Naa hoga ke kitaabon mein
Chhapegi teri meri kahaani
Haan kishton mein suna denge
Yeh qissa teri meri zubaani

Tooti phooti, sacchi jhooti
Teri meri daastaan..
Auron se kya lena dena
Denge khudko bataa..

Rummani sa, rumaani si
Tu aur main, main aur tu
Rummani sa, rumaani si
Dil aur har justuju

Rummani sa (amm hmm..) rumaani si (oho..)
Rummani sa (amm hmm..) rumaani si (oho..)
Rummani sa (amm hmm..) rumaani si


Bewakoofiyaan

Song: Bewakoofiyaan (Title)
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singer: Raghu Dixit
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Dil ko samjha bujha ke
Khud ko ullu banake
Ullu seedha karta rehta hai

Jo woh toota nahi hai
Khud se rootha nahi hai
Phir kyun aise tubta rehta hai
Nakli dilaase, farzi khulase
Ghalati pe parde ye daale
De kar ye jhaanse
Khud ko hi phaanse
Nuksaan mein dhoonde munaafe
Bewakoofiyaan...

Bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si
Bewajah Bewakoofiyaan..
Bewakoo...ooh.fiyaan 

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyaan..

Paara utra nahi hai
Bilkul sudhra nahi hai
Munh ke bal ye girta rehta hai
Ab bhi bigda nahi hai
Sab kuch bikhra nahi hai
Munh latka kyun phirta rehta hai..
Kitne dinon se auron ko kose
Kaisi ye zidd pe ad gaya..
Koi toh toke, kam se kam roke
Kab tak khud ko dega ye dhoke...
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofian..
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyan..

Aye nadaan re, asaan hai re
Inn hisso ko toh jodna
Kyun pareshaan hai
Namushkil hai, maafi ke bol bolna
Aisi jhooti-muthi kyun tadi hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hisaab khole
Tu kya aano pe tole
Kya khoya hai kya haara
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofian..
Bewakoo..oo..ooh.fiyaan..

Bematlab betuki si
Bekaar si buddhu si
Bewajah Bewakoofiyan..


Khamakhaan

Song: Khamakhaan
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singers: Ayushmann Khurrana, Neeti Mohan
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Habib Faisal


Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare

Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare


Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare
Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Jo toofan aaya, bistara uthaaya
Dil khaali karke tu chala
Tere dil ka kiraaya
Jo bhar nahi paaya
Toh kar degi mujhko dafaa

Par saari life ka waada kiya tha
Jab dil ka sauda huaa
Hey, Khaali jeb hai kaise karun 
Main chukta tere dil ka udhaar

Boli laga ke main
Tujhe apne ghar le jaaungi
Haan pehle kuch ban jaaun main
Tabhi munaafa tu paayegi

Khamakhaan pyaar bhar waade
Khamakhaan lambe choude hain iraade
Khamakhaan sapne dekhe ae diwaani
Khamakhaan apni bigdi kahaani
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Jo tu ho daaru, tujhko chadha lun
Khud ko banaa lun nasha

Baadal banke rahun tujhse milke
Jo tu ban gaya aasmaan

Kehne ki hain pyaari ye saari baatein
Karna easy nahi!
O Apne rang chhod dooje ke rang mein rangna
Easy Nahi!

Berangi saare rang
Pyaar ka hai rang hi rangeen
Baaki sab toh badle roz hi
Red, Orange, Yellow, Blue and Green

Khamakhaan pyaar bhar waade
Khamakhaan lambe choude hain iraade
Khamakhaan sapne dekhe ae diwaani
Khamakhaan apni bigdi kahaani
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Khamakha jod-tod kare
Khamakha paai paai pe mare
Khamakha yaar pyaar se dare
Khamakha mujhe kare kyun pare
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon

Khamakhan karaar mila
Khamakhan...
Khamakhan... Khamakhan...
Har story ki main teri heroine hoon
Har story ki main teri Happy Ending hoon


Gulcharrey

Song: Gulcharrey
Movie: Bewakoofiyaan (2014)
Singers: Benny Dayal, Aditi Singh Sharma
Music: Raghu Dixit
Lyrics: Anvita Dutt

Aye, fikron ki poonchon pe hai, patakhon ki ladi
Fitrat patang jaisi, aawara hai badi
Hum mein toh hi hai bacchu, auqaat enth ki
Pango se pange le lein, dikhaayein hekdi

Saare chichoron ko, hum hi sikhaate hain
Aishon ki kunji, likhate padhaate
Noton ki baarish hai, Sikke phuwaare hain
Bheega hai saara jahaan...

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-shaa se bhare gulcharrey
Tadi se ude gulcharrey
Ude gulcharrey...

Aye, sapno ke poster wah bhai din me bhi dikhte hain
Satrangi packeton mein market mein bikte hain
Apna bas chale toh bhaari si sale pe
Chanda taare na chhode
Woh bhi khareed lein
Betuki baaton ki, tuk hum bana lenge
Hum toh jee bhai gham bhi khilli uda lenge
Hum na akele hain
Apni ye saazish mein shaamil hai saara jahaan

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-shaa se bhare gulchare
Tadi se ude gulcharre
Ude gulcharrey...

Kal ki hum abhi soche kyun
Jeene ko yeh pal kaafi hai
Jo din hai humne dekha nahi
Uspe hum kyun bharosa karein
Sabhi ko chhodo sab chutki mein milta hai
Noodle ke jaise sab minton mein pakta hai
Dum bhar ki khushiyaan hain
Pal bhar mein milti hain
Maang ke dekho zaraa...

Jebon mein bhare gulcharrey
Raeesi kare gulcharrey
Show-sha se bhare gulchare
Tadi se ude gulcharre
Ude gulcharrey...


Ahista Ahista

Song: Ahista Ahista
Movie: Shaadi Ke Side Effects (2014)
Singer: Farhan Akhtar
Music: Mikey McCleary
Lyrics: Ankur Tewari


Ahista ahista mehfilein meri
Sooni ho gayin, kho gayin
Zamaana tha, thi roshni
Ab saayon mein hai
Guzri ek shaam phir, tanha meri
O ahista ahista sab
Sab gaye sang chhod ke
Yeh raahein hui kab judaa
Naa jaane kis mod pe
Ek lamha bhi na mila
Keh paate kuchh hum
Aur yeh sab huaa ahista ahista

Ahista ahista ab hoke tanha
Main hoon aur zindagi khamoshi ki
O.. ahista ahista sab
Sab gaye sang chhod ke
Yeh raahein hui kab judaa
Naa jaane kis mod pe
Ek lamha bhi na mila
Keh paate kuch hum
Aur yeh sab huaa ahista ahista

Ahista ahista guzra hai kal
Bikhri hain tukdon mein ab yaadein teri
O.. ahista ashita sab
Sab gaye sang chhod ke
Yeh raahein hui kab judaa
Naa jaane kis mod pe
Ek lamha bhi na mila
Keh paate kuch hum
Aur yeh sab huaa, ahista ahista..


Bawla Sa Sapna

Song: Bawla Sa Sapna
Movie: Shaadi Ke Side Effects (2014)
Singer: Mohit Chauhan
Music: Pritam
Lyrics: Swanand Kirkire


Aao ji aao suno tumko sunaaun
Ik sapne ki story...
Ki meri palkon ki tapri ke neeche
Woh rehta tha sapna tapori
Ambar mein udne ka shauq usey tha
Akal thi thodi!
Arey chupke se tupke se
Karna woh chahta tha
Moon ki chori :P

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bavla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna…

Sapney ka tha, beta sapnu
Pyara pyara, bada dulara, Bola...
Papa aana.. jaldi jaldi tum chanda laana
Hadbadi mein, gadbadi mein
Sapna nikla.. sambhla, phisla..
Udaa.. pahuncha, pahuncha
Chaand ke ghar gaya

Woh raat thi amaawsi
Chutti pe tha ji chanda
Dabe paaon jo gaya tha
Khaali haath lauta banda
Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Hmm.. baadal baadal, ghoome paagal
Sapnu ko ab kaise dikhaye..
Chehra, chehra, chehra..
Ya ya ye yeah.. apna chehra..

Tabhi sadak par dikha ek
Ujla ujla, pyara-pyara sheesha, sheesha
Sheehse mein usko jaane kya dikha

Sapnu ko jaa dikhaya
Sheeshe mein uska chehra
Bola mere pyaare sapnu
Tu hi hai chaand apna
Mera bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada baawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna…


Yahaan Vahaan

Song: Yahaan Vahaan
Movie: Shaadi Ke Side Effects (2014)
Singer: Farhan Akhtar
Music: Pritam
Lyrics: Swanand Kirkire


Kal ko bhoolo na
Kal toh bitaa re
Sooni chaukhat pe
Dekho aaj baitha re (x2)

Yahaan-wahaan, yahan-wahan phirta main
Jahaan-tahaan, kahaan-kahaan
Huyi jo hai khata khata khata khata
Yaara humein maaf kardo naa (x2)

Kashti hoon main woh tanha, dhoonde jo saahil
Tere dil ka woh kona, hai meri manzil (x2)

Maana ki tu hai naa badi khafa
Main bhi zara dun yeh tujhe bata
Tere bin din guzar jaaye
Shaam dhal jaaye
Raat beete naa

Yahaan-wahaan, yahan-wahan phirta main
Jahaan-tahaan, kahaan-kahaan
Huyi jo hai khata khata khata khata
Yaara humein maaf kardo naa (x2)

Mujhko itna sukoon hai
Sach main kehta hoon
Gusse mein hi sahi
Tere dil mein rehta doon (x2)

Maangu bas main toh yahi duaa
Dard ki de mujhe koi dava
Tere bin kaise samjhaayein
Chain na aayein
Dil yeh maane na

Yahaan-vahaan, yahan-vahan phirta main
Jahaan-tahaan, kahaan-kahaan
Huyi jo hai khata khata khata khata
Yaara humein maaf kardo naa (x2)


Desi Romance

Song: Desi Romance
Movie: Shaadi Ke Side Effects (2014)
Singers: Suchi, Arijit Singh
Music: Pritam
Lyrics: Swanand Kirkire


Ho…
Ratiyaa chhaaye toh jiya lalchaave
Chhatiya dhak dhak taal sunaave
Jee ki koyaliya shor machaave
Piya milan ki agan jagaave

Ratiyaa chhaaye toh jiya lalchaave
Chhatiya dhak dhak taal sunaave
Jee ki koyaliya shor machaave
Piya milan ki agan jagaave

Ye morey angiya, morey ang se
Lipat, chipat, jhapat, rapat jaaye haaye
Ye mori chunar, morey tan se
Sarak, sarak sarke… haaye

Aaj desi romance ho zara
Saath angrezi dance ho zara
Aaj peeyenge all tonight
(Ratiyaa chhaaye, toh jiya lalchaave)
Aaj desi romance ho zara
Saath angrezi dance ho zara
Aaj peeyenge all to the night

All to the night
All to the night
Yeah!
All to the, all to the, All to the night
All to the night
All to the night
All to the, all to the...
Go ahead and party all !!

Anjaani si raaton mein koi, saathi mil jaaye
Do kadam hi pyaar se koi, saath chal jaaye
Ye bhi na poochhe, woh naam mera pata

Bas yahi kehde, bha gayi hai mujhko adaa
Hmmm… hmmm…

Mora jiyaara aaj aise alat-palat
Dhadak-dhadak jaaye haaye
Mora manwaa teri lagan mein
Mehke thirke phisle haaye

Aaj desi romance ho zara
Saath angrezi dance ho zara
Aaj peeyenge all tonight
(Ratiyaa chhaaye, toh jiya lalchaave)
Aaj desi romance ho zara
Saath angrezi dance ho zara
Aaj peeyenge all to the night

All to the night
All to the night
Yeah!
All to the, all to the, All to the night
All to the night
All to the night
All to the, all to the...
Go ahead and party all !!


Tauba Main Vyah Karke Pachtaya

Song: Tauba Main Vyah Karke Pachtaya
Movie: Shaadi Ke Side Effects (2014)
Singers: Shahid Mallya, Poorvi Koutish, Alam Lohar
Music: Pritam
Lyrics: Mayur Puri


Om...
Om mangalam bhagwan vishnum
Mangalam garuda dhwaja
Mangalam pundari kaaksham
Mangalaya tano hari
Mangalam bhagwan vishnum
Mangalam garuda dhwaja

Tauba main vyah karke pachtaya
Tauba main vyah karke..

Aaha now listen to me carefully
Munh band rakh, eyes khuli
I am getting a Mani-Pedi
Shopping for a dress
Ghar beth, kaam kar
TV chhod, clean the mess

Naagin jaisi zulfen thi
Ab puri naagin woh
Haan dasne mujhko aati everyday
Thi chaand kabhi
Ab taare dikhlaati hai everyday
Thi jaan meri
Ab jaan jalaati hai ji everyday

Tevar ban gaye zevar
Jis din se ghar aayi woh
Chalti madam khata thokar main
Ho rabba mere, baahar sahib
Ghar pe naukar main
Dekho ji kaise ringmaster se
Ban gaya joker main

Hai madam ka yeh tashan
Main iska manmohan
Main apne.. main apne..
Main apne naam pe bhi haklaaya
Ho Paape viah karke
O paape shaadi karke pachtaya
Main viah karke..
O paape shaadi karke pachtaya
Main viah karke.. haaye..

Tell me, kahaan maraa tha bata de sach sach
I hate your friend so much
Are you having a fling
Bloody good for nothing

Ho raja ho maharaja koi ho chaahe sultan
Biwi se darna zaroori hai
Ye ruth gayi toh Ramayan mein jaisi Kekayi hai
Ab toh ye meri life Mahabharat si ho gayi hai

Phantom chhodo, uski biwi - chalta phirta pret
Pit pit ke hi neela pad gaya man
Hai ghar mein aake jaale saaf karta Spiderman
Wo Hulk hai nanga kapde faade biwi din or rain

Superman se kehti (aaha)
Super se oopar nahi (aaho)
Koi bhi, koi bhi
Koi bhi isko naa khush kar paya
Ho paape vyah karke
Ho paape shaadi karke pachtaya
Main vyah karke.. hey..


ad

In Association with Amazon.in