Showing posts with label Players movie. Show all posts
Showing posts with label Players movie. Show all posts

Saturday, August 24, 2013

Kyun Dooriyan Hai Darmiyaan

Song : Kyun Dooriyan Hai Darmiyaan
Movie : Players
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Ashish Pandit
Singers : Ritu Pathak




Kyun Dooriyan Hai Darmiyaan
Badh jaane de, nazdeekiyaan
Har saans mein, mehsoos kar
Inn saanson ki madhoshiyaan

Mera nasha aise chadhe, mera nasha zid pe ade
Mera nasha aise naa jaaye, jhoom jhoom jhoom ta ja
Mera nasha mujhko hua
Mera nasha hai khwaab sa
Mera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom ta tu ja

Jis aag mein yeh badan jal raha hai mera aye humsafar
Tu bhi ussi mein jal jaayega, jaayega
Parwaane kyun par shamaa pe machalte hain, mujhko aaj phir
Iss ka pata bhi chal jaayega
Main hi shehad main hi zehar
Mujh mein tere shaam-o-sheher
Meri inn panaahon mein aa kar
Jhoom jhoom jhoom ta ja
Mera nasha aise chadhe
Mera nasha zidd pe ade
Mera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom ta tu ja

Main bhi hoon tanha hai, tu bhi akela hai
Mauka bhi haseen
Milne ka hone de silsila
Silsila bin kuch kahe kuch sune kuch kiye
Kab main tujhpe marr gayi
Mujhko pata bhi naa yeh chala
Lo marr gaye hum bekasoor
Woh jee gaye jinka kasoor
Aankhon se meri jaan le kar
Jhoom jhoom jhoom ta ja
Mera nasha aise chadhe
Mera nasha zidd pe ade
Mera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom ta tu ja

Dil Ye Bekarar Kyun Hai

Song : Dil Ye Bekarar Kyun Hai
Movie : Players
Music : Pritam Chakraborty
Lyrics : Ashish Pandit
Singers : Mohit Chauhan & Shreya Ghoshal




Kyun raaton ko main ab chain se so na sakoon
Oo...
Kyun aata nahin mujhe din mein bhi chain-o-sukoon
Oo kyun aisa hota hai main khud se hi baatein karoon
Oo kyun tu jo bole koi sune na woh main hi sunu
Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa

Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa

Kyun tujhe dekhe bina aata nahin dil ko sabar
Oo kyun tere chehre se hatt ti nahin yeh nazar
Oo kyun tujhe paake mujhe rehta hai khone ka darr
Oo kyun tere siva saari duniya se hoon main bekhabar

Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa
Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa

Ye pyaar hai jo tujhe ho gaya hai
Naa jaane kyun tu iss se tha bekhabar
Jo aaj kal yeh tujhe ho raha hai
Nahin aur kuch, pyaar ka hai asar

Kyun tere jalwo ka chatt ta nahin hai dhuaan
Oo kyun chale hawa toh lage ki jaise tune chhuaa
Oo kyun maangta hai dil tere liye roz duaa
Oo kyun ho raha jo pehle mujhe naa hua

Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa
Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa

ad

In Association with Amazon.in