Showing posts with label Ali Azmat. Show all posts
Showing posts with label Ali Azmat. Show all posts

Friday, May 29, 2015

Maula

Song:Maula 
Film: Jism 2 (2012)
Singer: Ali Azmat
Lyrics: Arko Pravo Mukherjee and Munish Makhija 



Ishq bhi kiya re maula
Dard bhi diya re maula
Ooo.. ooo..
Ishq bhi kiya re maula
Dard bhi diya re maula
Yun toh khush raha
Magar kuch reh gaya baaqi

Faqr bhi kiya re maula
Ilm bhi liya re maula
Zindagi jiya magar kuch reh gaya baaqi

Tu nahi dikha re maula
Sab nahin bika re maula
Aur jahaan ruka wahaan pe
Jaam hai khaali

Chaah ki kami mein tu hai
Aankh ki nami mein tu hai
Aas mein tu
Pyaas mein tu
Saans mein tu..
Bewajah hansi mein tu hai
Jo dikhe usi mein tu hai
Ashq mein tu [Ashq: Tears]
Rashk mein tu [Rashk: Envy/Jealousy]
Jaan mein tu

Ishq bhi kiya re maula
Dard bhi diya re maula
Yun toh khush raha
Magar kuch reh gaya baaqi

Faqr bhi kiya re maula
Ilm bhi liya re maula [Ilm: Knowledge]
Zindagi jiya magar kuch reh gaya baaqi

Tu nahi dikha re maula
Sab nahin bika re maula
Aur jahaan ruka wahaan pe
Jaam hai khaali

Zeest ki sacchayiyon se [Zeest: Life]
Rooh ki gehraiyon se
Raat ki tanhaiyon se
Tu guzar zara [x2]


Yeh Jism

Song: Yeh Jism 
Movie: Jism 2 (2012)
Composed by: Dr. Arko Mukherjee.
Singer: Ali Azmat
Lyrics/written by: Arko Pravo Mukherjee & Munish Makhija


Yeh jism hai toh kya
Ye rooh ka libaas hai

Yeh dard hai toh kya
Ye ishq ki talash hai
Fanaa kiya mujhe
Ye chahne ki aas ne
Taraa taraa shikast hi hua

Raza hai kya teri?
Dil-o-Jahaan tabaah kiya
Sazaa bhi kya teri?
Wafaa ko bewafaa kiya
Wah re zindagi se yun mujhe juda kiya
Kahaan Kahaan phirun main dhoondta?
Wahaan jahaan tuhi mera libaas hai
Wahaan jahaan teri hi bas talash hai
Wahaan jahaan tujhi pe khatam aas hai
Wahin shuru wahin pe dafan jaan hai

Yeh jism hai toh kya
Ye rooh ka libaas hai
Yeh dard hai toh kya
Ye ishq ki talash hai
Fanaa kiya mujhe
Ye chahne ki aas ne
Tara tara shikast hi huaa

ad

In Association with Amazon.in