Showing posts with label Amit Trivedi music. Show all posts
Showing posts with label Amit Trivedi music. Show all posts

Thursday, August 22, 2013

Geet Mein Dhalte Lafzon Mein

Song : Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Amit Trivedi & Amitabh Bhattacharya




Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Taal Pe Chalti Nabzon Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai
Shaam Se Leke Sehron Mein
Dhoop Jadi Duphero Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai

Kya Baat Hai Jo Baat Hai Taaza Lagey
Zindagi Ki Nayi Nayi Faza Lagey

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Dhool Jami Thi Aankhon Mein
Khwab Khile Ab Lakhon Mein
Naya Kuch Naya To Zaroor Hai
Dard Ki Baatien Kal Ki Hain
Aaj Mein Khushiyan Chalki Hain
Naya Kuch Naya To Zaroor Hai
Jebon Mein Hum Raatein Liye Ghuma Kare
Fursat Ke Yeh Mauke Sabhi Jhuma Kare

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Andheri Mein Hai Nayi Garmiyan
Junoon Sakht Hai Gayi Narmiyan
Hai Dilchasp Yeh Aag Si (Aag Si)
Mitenge Nahi Yaad Se (Yaad Se)

Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Taal Pe Chalti Nabzon Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai
Shaam Se Leke Sehron Mein
Dhoop Jadi Duphero Mein
Naya Kuchh Naya To Zaroor Hai

Kya Baat Hai Jo Baat Hai Taaza Lagey
Zindagi Ki Nayi Nayi Faza Lagey

Haan Yeh Umango Se Poora Hua Seena Hai (Seena Hai ..)
Lamha Yeh Maanga Nahi, Isse Humne Cheena Hai (Cheena Hai ..)
Yunhi Jeena Hai

Naav-Chadhti Lehrein Laang Na Paaye

Song : Naav-Chadhti Lehrein Laang Na Paaye
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Mohan



Chadhti Lehren Laangh Na Paaye Kyun Haanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Tinka Tinka Jod Ke Saanse Kyun Haanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ke Ab Kuch Kar Ja Re Panthi..

Jigar Juta Kya Baat Baandh Le Hai Baat Thehri Jaan Pe Teri Jaan Pe Teri
Haiya Ho Ki Taan Saath Le Jo Baat Tehri Jaan Pe Teri Shaan Pe Teri
Chal Jeet Jeet Lehra Parcham Tu Laal Phehra Ja
Ab Kar Ja Tu Ya Mar Ja Karle Taiyari
Udja Banke Dhoop Ka Panchi Chura Ke Gehri Chhaon Andheri Chaao Andheri
Tinka Tinka Joodle Saase Kyun Haanphti Si Naav Hai Teri
Rakh Dega Jhakjhor Ke Tujhe
Tufano Ka Ghor Hai Dera Ghor Hai Dera
Bhanwar Se Dar Jo Haar Maan Le
Kaheka Phir Jor Hai Tera Jor Hai Tera
Hai Dil Mei Roshni Tere
Tu Cheer Daal Sab Ghere
Lehron Ki Gardan Kas Ke
Daal Phande Re
Ki Dariyan Bole Waaha Re Panthi
Saar Ankhon Pe Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Chadti Lehren Laangh Na Paaye
Kyun Hanpti Si Naav Hai Teri Naav Hai Teri
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ulti Behti Dhaar Hai Bairi Dhaar Hai Bairi
Ke Ab Kuch Kar Ja Re Panthi..

Kahaani-Aankhon Ke Pardon Pe

Song : Kahaani-Aankhon Ke Pardon Pe
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Joi Barua & Neuman Pinto



Aankhon Ke Pardon Pe Pyaara Sa Jo Tha Woh Nazara
Dhua Sa Ban Kar Udh Gaya Ab Na Raha
Baithe The Hum Toh Khwabon Ke Chaon Ke Tale
Chod Ke Unko Jaane Kahan Ko Chale

Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ko Hai
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai
Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ko Hai
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai

Aane Wala Waqt Dega Panhe
Ya Phir Se Milenge Dauraahein
Khabar Kya, Kya Pataa

Aazaadiyan-Pairon Ki Bediyan

Song : Aazaadiyan-Pairon Ki Bediyan
Movie : Udaan
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Amit Trivedi, Neuman Pinto & Amitabh Bhattacharya



Pairon Ki Bediyan Khwabon Ko Baandhe Nahi Re, Kabhi Nahi Re
Mitti Ki Parton Ko Nanne Se Ankur Bhi Cheenay, Dheere Dheere
Iraade Hare Hare, Jinke Seeno Mein Ghar Kare
Woh Dil Ki Sune Kare Na Darre, Na Darre

Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman
Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman

Aazaadiyan, Aazaadiyan
Aagey Na Kabhi, Mile Mile Mile
Aazaadiyan, Aazaadiyan
Jo Cheenay Wahi, Jee Le Jee Le Jee Le

Subah Ki Kirno Ko Rokein Jo Salaakhein Hai Kahan
Jo Khayalon Pe Pehre Daale Woh Aankhein Hai Kahan
Par Khulne Ki Deri Hai Parinde Udh Ke Jhoomenge
Aasman Aasman Aasman

Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ke Hai (Hone Ke Hai)
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai (Hone Ke Hai)
Kahani Khatam Hai Ya Shuruwaat Hone Ke Hai (Hone Ke Hai)
Subha Nayi Hai Yeh Ya Phir Raat Hone Ko Hai (Hone Ke Hai)

Aane Wala Waqt Dega Panha Hai
Ya Phir Se Milenge Do Raahein
Khabar Kya, Kya Pataa

Saturday, August 17, 2013

Aunty Ji

Song : Aunty Ji
Movie : Ek main ekk tu
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Ash King




Thats right babay, aunty ji
This one’s is for you

Abhi bhi hai jawani, zara si hai purani
Hai phir bhi jawani honey ji
Sharma bhula ke, haan thumka laga ke
Karo na thoda manmaani ji

Abhi bhi tere gaal gore-gore
Lakhon dilon pe dale dore-dore
Dekho deewane hue jaa rahe hain
Aadhe umar ke bhi chhore-chhore
Ha baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Dil toh chhichhora kawara vaar vaar jaaye
Funky adaaon pe marr marr jaaye baby
Kaliyan kanwari tajurbe se bani aunty

Jitna puraana ho sona sona sona
Kyun na phir bhi rahega woh sona sona sona baby
Aur nasheeli ho wine puraani aunty

Yeh toh bataa hare o re o re
Aunty bulaaye mujhe kyun re kyun re

Aunty bulaane mein jo mazaa hai woh
Down to car mein no re no re

O kamariya jo dekhi toh gajne ka nahin ka chance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Patli nahin jo kamar teri teri toh ka
Ab bhi lagey gadar badi badi baby
Smile abhi bhi hai million dollar aunty

Hai na woh tera hubby hubby hubby
Lagne laga hai tera daddy daddy daddy
Bitiya jo teri woh behan lage hai aunty

Paani mein jaake munh dhole dhole
Chhede kyun mujhe badtameez chhore
Dhone se badtameezi jaati nahin
Chhedenge yunhi tujhe chhore chhore

Haan baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance.

Kar Chalna Shuru Tu

Song : Kar Chalna Shuru Tu
Movie : Ek main ekk tu
Music : Amit Trivedi
Lyrics : Amitabh Bhattacharya
Singers : Vishal Dadlani & Shilpa Rao




Jo Hua Hai Woh Hota Hai
Jo Hona Hai Woh Hona Hai
Jo Tere Bas Mein Baatein Hai
Unhe Khamakha Kyun Khona Hai
Ho Jitni Bhi Hai Jitni Bhi Hai, Umeedein Leke
Jaaye Kahan Tak Jaaye Kahan Tak, Raastein Dekhe
Kar Chalna Shuru Tu
Mudhke Naa Dekh Tu
Jaise Hain Sahin Hain
Ek Main Aur Ekk Tu
Ho Kar Chalna Shuru Tu
Mudhke Naa Dekh Tu
Jaise Hain Sahin Hain
Ek Main Aur Ekk Tu
Ek Main Aur Ekk Tu

Nazariya Dono Ka
Miley Na Miley
Kadar Dono Ko Hai Dono Ki
Safar Tay Yeh Kare, Saath Mein Bhale
Alag Hai Manzilein Dono Ki
Tukda Tukda Dhoop Ho
Chaahe Chutki Bharke Chaaon Bhi
Baraabari Se Baatein Ho Zaroorat Jo Jis Tarah Ki

Ho Jitni Bhi Hai Jitni Bhi Hai, Koshishein Leke
Jaaye Kahan Tak Jaaye Kahan Tak, Raastein Dekhe

Kar Chalna Shuru Tu, Shuru Tu
Mudhke Naa Dekh Tu, Naa Dekh Mudke Naa Dekh Tu
Jaise Hain Sahin Hain, Sahin Hain Sahin Hain
Ek Main Aur Ekk Tu, Ek Main Aur Ekk Tu

Kar Chalna Shuru Tu
Mudhke Naa Dekh Tu
Jaise Hain Sahin Hain
Ek Main Aur Ekk Tu
Ek Main Aur Ekk Tu

Jo Socha Hai Kab Hota Hai
Yehi Hamesha Ka Rona Hai
Soche Bin Mil Jaaye Jo
Usse Khamakha Kyun Khona Hai
Hmm Jitni Mile Jitni Mile, Raahatein Leke
Jaaye Kahan Tak Jaaye Kahan Tak, Raastein Dekhe.

ad

In Association with Amazon.in