Showing posts with label Ek Villain (2014). Show all posts
Showing posts with label Ek Villain (2014). Show all posts

Tuesday, May 19, 2015

Awari

Song: Awari
Movie: Ek Villain (2014)
Lyrics / Music: Rabbi Ahmed, Adnan Dhool (SOCH Band)
Singers: Adnan Dhool, Momina Mustehsan

Teri baahon mein jo sakoon tha mila
Maine dhoondha bahut par
Phir na milaa... aa..

Duniya chhoona chaahe mujhko yun
Jaisay unki saari ki saari main
Duniya dekhe roop mera
Koi na jaane bechari main

Haaye, tooti saari ki saari main
Tere ishq mein hui Awari main
Haaye, tooti saari ki saari main
Tere ishq mein hui Awari main..

Koi shaan bulaaye
Koi daam lagaaye
Main bhi upar se hansti
Par andar se haaye..

Kyun dard chupaye baithi hai
Kyun tu mujhse kehti hai
Main toh khud hi bikhra huaa

Haaye andar andar se toota main
Tere ishq mein khud hi se rootha main
Haaye andar andar se toota main..
Tere ishq mein khud hi se rootha main

Main jee bhar ke ro lun
Teri baahon mein so lun
Aa phir se mujhe mill
Main tujhse ye bolun:
Tu anmol thi
Pal pal bolti thi
Aisi chup tu laga ke gayi
Saari khushiyaan kha ke gayi..

Haaye, andar andar se toota main..
Tere ishq mein khud hi se rootha main

Haaye, teri hoon saari ki saari main
Ho.. par tere liye bazaari main!


Humdard

Song: Humdard
Movie: 
Ek Villain (2014)
Lyrics / Music: Mithoon
Singer: Arijit Singh
                       
Pal, do pal, ki hi kyun hai zindagi
Iss, pyar, ko hai sadiyaan kaafi nahi
Toh khuda se maang lun
Mohalat main ik nayi
Rehna hai bas yahaan
Ab door tujhse jaana nahi
Jo tu mera humdard hai
Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera humdard hai

Teri muskurahatein hain taaqat meri
Mujhko inhi se ummeed mili
Chaahe kare koi sitam ye jahaan
Inme hi hai sadaa hifaazat meri
Zindagani badi khoobsurat hui
Jannat ab aur kya hogi kahin
Jo tu mera Humdard hai
Jo tu mera Humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera Humdard hai

Woooo...

Teri dhadkano se hai zindagi meri
Khwahishein teri ab duaaein meri
Kitna anokha bandhan hai ye
Teri meri jaan jo ek hui
Lotunga yahaan tere paas main haan
Waada hai mera mar bhi jaaun kahin
Jo tu mera humdard hai
Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera humdard hai

hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai...


Zaroorat

Song: Zaroorat
Movie: Ek Villain (Release Date: 27 June, 2014)
Lyrics / Music: Mithoon
Singer: Mustafa Zahid

Ye dil tanha kyun rahe
Kyun hum tukdon mein jiye
Ye dil tanha kyun rahe
Kyun hum tukdon mein jiyein
Kyun rooh meri ye sahe
Main adhoora jee raha hoon
Hardum ye keh raha hoon
Mujhe teri zaroorat hai
Mujhe teri zaroorat hai (x2)

Andheron se tha mera rishta bada
Tune hi ujaalon se waaqif kiya
Ab lauta main hoon inn andheron mein phir
Toh paaya hai khud ko begaana yahaan
Tanhaayi bhi mujhse khafaa ho gayi
Banjaron ne bhi thukra diya
Main adhoora jee raha hoon
Khud par hi ik sazaa hoon
Mujhe teri zaroorat hai
Mujhe teri zaroorat hai

Hmm.. tere jism ki woh khushbuein
Ab bhi inn saanson mein zinda hai
Mujhe ho rahi inse ghutan
Mere gale ka ye phanda hai
Aaa..

Ho.. tere choodiyon ki woh khanak
Yaadon ke kamre mein goonje hai
Sunkar isey aata hai yaad
Haathon mein mere zanjeerin hain
Tuhi aake inko nikaal zaraa
Kar mujhe yahaan se rihaa
Main adhoora jee raha hoon
Ye sadaayein de rahaa hoon (sadaayein: awaaz)
Mujhe teri zaroorat hai
Mujhe teri zaroorat hai


Banjaara

Song: Banjaara
Movie: Ek Villain (2014)
Lyrics / Composer: Mithoon
Singer: Mohd. Irfan

Dard mere woh bhula hi gayaa
Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmm.. Jaise baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra
Deta hai jo pehraa
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usey,
Phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya hai iraada tera

Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar

Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar..
Jaise banjare ko ghar...
Jaise banjare ko ghar....


Galliyan

Song: Galliyan
Movie: Ek Villain (2014)
Singer/Composer: Ankit Tiwari
Lyrics: Manoj Muntashir




( Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante na )
( Tab tak hum dard se aur dard hum se juda nahi hota )


O.. Yahin doobe din mere
Yahin hote hain savere
Yahin marna aur jeena
Yahin Mandir aur Madeena... x2

Teri galiyan... galliyan teri, galliyan..
Mujhko bhaavein galiyan, teri galliyan
Teri galiyan...galiyaan teri, galliyan..
Yuhin tadpavein, galliyan teri, Galliyan... 

Tu meri neendo me sota hai
Tu mere ashqo mein rota hai
Sargoshi si hai khayalon mein
Tu na ho, phir bhi tu hota hai
Hai sila.. tu mere dard ka

Mere dil ki duaayein hain..
Teri galiyan... galliyan teri, galliyan..
Mujhko bhaavein galiyan, teri galiyan
Teri galiyan...galiyaan teri, galliyan..
Yuhin tadpaavein, galliyan teri, galliyan..

Kaisa hai rishta tera-mera
Be-chehra phir bhi kitna gehra
Ye lamhe, lamhe ye resham se
Kho jaayein.. kho na jaayein humse
Kaafila.. waqt ka.. rok le..
Abr se juda na ho

Teri galliyan... galliyan teri galliyan..
Mujhko bhaave galiyan teri galiyan
Teri galiyan...galiyaan teri galliyan..
Yuhin tadpaave galliyan teri galliyan..

Galliyan...
Teri galliyan..
Tadpaavein...

ad

In Association with Amazon.in