Showing posts with label anil kapoor. Show all posts
Showing posts with label anil kapoor. Show all posts

Thursday, May 28, 2015

Laila

Song: Laila
Movie: Tezz (2012)
Singer: Sunidhi Chauhan
Music: Sajid-Wajid



C'mon everybody do you wanna play?
Laila gonna show how to play today.
Dhak dhak dhak gonna make you sweat
Do you wanna get hot?
Do you wanna get wet?
Raat mein ho... Laila..Laila
Sath mein ho... Laila..Laila
Baahon mein ho ... Laila..Laila
Main toh Majnu ko chhaila bana doo haan

Laila main toh laila main toh
Laila main toh laila main toh

Laila main toh laila main toh
Laila main toh laila main toh
Laila main toh laila main toh sabki hu Laila [x2]

Raat mein ho... Laila Laila
Sath mein ho... Laila Laila
Baahon mein ho... Laila..Laila
Main toh Majnu ko chhaila bana doon haan

Kasbe, Mohalle gali-kooche mein
Charche hote hain
Takiye ke neehe mere khwaab
Sab rakh ke sote hain
Ek shaam jo sath bitayega
Sholon se mera mera jism jal jayega
Laila ka Naam kabhi naa bhool payega
Main toh Majnu ko chhaila bana doon haan

Laila... Laila... Laila hu main toh hu sabki Laila

Laila main toh laila main toh [ Repeats ]

Raat mein ho... Laila..Laila
Sath mein ho... Laila..Laila
Baahon mein bas... Laila..Laila
Main toh Majnu ko chhaila bana du haan


Main Hoon Shab

Song: Main Hoon Shab
Movie: Tezz (2012)
Singers: Mohit Chauhan
Music: Sajid-Wajid



Main hoon shab, tu hai subah
Ishq mein, tu hai jahaan
Main hoon labh, tu hai duaa
Main zameen, tu aasmaan
Tum mile, mill gaye do jahaan
Darmiyaan faasla na raha

Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam
Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam
Teri baahon mein, teri raahon mein
Teri baahon mein, teri raahon mein
Meri umr kat jaye sanam
Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam

Kyun aaj bheegi bheegi chaandni hai
Chehre pe chand jaisi roshni hai
Ho.. kyun aaj bheegi-bheegi chaandni hai
Chehre pe chand jaisi roshni hai
Kadmon mein bich gaya hai aasmaan bhi
Tu rubaru hai kuch bhi na kami hai
Tum mile mill gaye
Tum mile, mill gaye do jahaan
Darmiyaan faasla naa raha

Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam
Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam

Khwaabon mein doobe dono sahilon ke
Raste nazar toh aaye manzilon ke
Ho.. khwaabon mein doobe dono sahilon ke
Raste nazar toh aaye manzilon ke
Hasrat rahi naa abb toh koi baaqi
Poore huey hain armaan do dilon ke
Tum mile, mill gaye
Tum mile, mill gaye do jahaan
Darmiyaan faasla naa raha

Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam
Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam
Teri baahon mein, teri raahon mein
Teri baahon mein, teri raahon mein
Meri umr kat jaye sanam
Tere saaye mein, tere saaye mein
Meri umr kat jaye sanam

Monday, May 18, 2015

Pehli Baar

Song: Pehli Baar
Movie: Dil Dhadakne Do (2015)
Singers: Siddharth Mahadevan & Sukirti Kakkar 
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sun lo yaar ki maine kya socha tha
Laga ki mashvare sunte ho dil ke
Laga ki thode se ho tum deewane se
Karoge dil ki baatein phir milke
Aur hongi ye baatein badi haseen
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine

Leharon mein jaise lehrein milein
aise mill gayi dilon ki dhadkan
Chalte hi chalte raahon mein
khoye khoye hain dono tan mann
Hum paas aaye to kyun paas aaye
Socho toh baat hai zaraa si
Kuch tum bhi pyaase pyaase thhe kab se
Main bhi thi pyaasi pyaasi

Lagaa ki tumse milna tha tabaahi
Iss dil ko hi samjhaane maine kahaa
Iss raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha..
Hone do ab jo bhi ho, darna kya
Bhala-bura hone do ab jo bhi ho

Kya dil ki sun li tumne
Kya raah chun li tumne
Haan dil ki sun li maine
Haan raah chun li maine


Friday, August 16, 2013

Kuchh Na Kaho

Song : Kuchh Na Kaho
Movie : 1942 A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kumar Sanu



Kuchh Na Kaho kuchh bhi na kaho
Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
Kya kehna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal thamsa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho
Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

Kitne gehre halke shaam ke rang hai chhalke
Parvat se yoon utre baadal jaise aanchal dhalke
Kitne gehre halke shaam ke rang hai chhalke
Parvat se yoon utre baadal jaise aanchal dhalke
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho
Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

Sulgi sulgi saansein behki behki dhadkan
Mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tanman
Sulgi sulgi saansein behki behki dhadkan
Mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tanman
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho
Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

Kya kehna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal thamsa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho

Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum

Song : Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Movie : 1942: A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kumar Sanu & Kavita Krishnamoorthy



Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Chalte hain

Bajta hai jaltarang teal ki chhat pe jab
Motiyon jaisa jal barse
Boondon ki ye ldai laayi hai vo ghadi
Jiske liye hum tarse
Ho ho ho bajta hai jaltarang teal ki chhat pe jab
Motiyon jaisa jal barse
Boondon ki ye ldai laayi hai vo ghadi
Jiske liye hum tarse

Ha ha ha rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Baadal ki chaadarein odhe hain vaadiyaan
Saari dishayein soyi hain
Sapnon ke gaon mein bheegi si chhaon mein
Do aatmayein khoyi hain
Ho baadal ki chaadarein odhe hain vaadiyaan
Saari dishayein soyi hain
Sapnon ke gaon mein bheegi si chhaon mein
Do aatmayein khoyi hain

Rimjhim rimjhim rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Aaye hain dekhne jheelon ke aaine
Belon ko khole ghatayein
Raah hai dhuaan dhuaan jayenge hum kahan
Aao yahin reh jayein
Aaye hain dekhne jheelon ke aaine
Belon ko khole ghatayein
Raah hai dhuaan dhuaan jayenge hum kahan
Aao yahin reh jayein

Rimjhim rimjhim rimjhim
Rumjhum rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein hey hey tum hnum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain

Rimjhim rimjhim rimjhim rimjhim
Rumjhum rumjhum rumjhum rumjhum
Bheegi bheegi rut mein tum hum hum tum
Ho chalte hain
Chalte hain...

Ek ladki ko dekha toh aisa laga

Song : Ek ladki ko dekha toh aisa laga
Movie : 1942: A love Story
Music : R. D. Burman
Singers : Kumar Sanu



Ho ek ladki ko dekha toh aisa laga
Ek ladki ko dekha toh aisa laga
Jaise khilta gulaab
Jaise shaayar ka khwaab
Jaise ujli kiran
Jaise van mein hiran
Jaise chaandni raat
Jaise naghme ki baat
Jaise mandir mein ho ek jalta diya
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise subahon ka roop
Jaise sardi ki dhoop
Jaise veena ki taan
Jaise rangon ki jaan
Jaise balkhaaye bel
Jaise lehron ka khel
Jaise khushboo liye aaye thandi hava
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

Ho ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise naachta mor
Jaise resham ki dor
Jaise pariyon ka raag
Jaise sangdal ki aag
Jaise sola sighaar
Jaise rasti fuhaar
Jaise aahista aahista badhta nasha
Ho ek ladki ko dekha to aisa laga

ad

In Association with Amazon.in