Saturday, May 2, 2015

Dil Aaj Kal

Song: Dil Aaj Kal
Movie: Purani Jeans (2014)
Singer: KK
Music: Ram Sampath
Lyrics: Prashant Ingole


Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi


Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Teri aankhon ke raste ye chale jaata hai
Jo bulaaun main kabhi, laut aata nahi
Bekhabar ye zamaane se takraata hai
Bedhadak mujhse kehta hai "Main hoon yunhi"
Ye tujhse hi milke huaa hai
Jo teri nazar ne chhuaa hai
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Hai hunar ek naya isko tujhse mila
Muskura ke ye milta hai sabse abhi
Aadhi raaton mein mujhko ye deta utha
Mujhse pooche ye raatein kyun kat.te nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..


Yaari Yaari

Song: Yaari Yaari
Movie: Purani Jeans (2014)
Singer: Ram Sampath
Music: Ram Sampath
Lyrics: Ashish Pandit

Ho hai zara si meethi-meethi halki si khaari
Yari yari, yaari yaari, yaari yaari..

Ho.. yaar woh jo samjhe baat bin bole saari
Yaari yaari, yaari yaari, yaari yaari..

Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri, meri-teri yaari-yaari
Hoo.. hoo...

Ho kachchi pakki gullakon to tod-taad kar
Chillaron ko apney saare jod-jaad kar
Tere hisse ki main smile ko khareed lun
Meri smile ka kahin na kahin se tu jugad kar
Chai wale adde ki bhi chai se hai pyari
You know..
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..
Wo.. jiski chal rahi hai abhi tak udhaari
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..

Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri, meri-teri yaari yaari
hoo hoo.. hoo hoo..
Beer ke nashe mein talli hoke jhoom lein
Mastiyon ke raaste mein jhande gaad dein
Hosh humse apna ghar ke le agar pata
Arey hosh se kahein ki hum hai aish mein pale

Class bunk maar ke pahaadon pe jaari (What?)
Yaari yaari, yaari yaari, yari yari..

Wo ho.. ghar pe goli deke bhaagne ki bimari (wassup?)
Yaari yaari, yaari yaari, yaari yaari..

Go!
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Zinda yaaron se hui zindagi
Wo o o ho.. wo ho.. wo ho...
Teri-meri..
Meri-teri yaari yaari
oo.. hoo.. hoo..


Friday, May 1, 2015

Revolver Rani (Ttile)

Song: Revolver Rani (Ttile)
Movie: Revolver Rani (2014)
Singer: Usha Uthup
Lyrics Writer: Puneet Sharma
Music: Sanjeev Srivastava


(Alka, Please apne aap ko surrender kar do
Police force ne tumhe charo ore se gher liya hai)

Ha ha ha.. Surrender?

Zehreeli tarannum ka hissa hai
Yeh shehar-e-jahannum ka qissa hai
Yahaan bandookon ke paas bhasha hai
Mohabbat ka khooni tamasha hai

Iss bhasad mein ek thi Rani
Baroodon ka woh pee ke paani
Pattharon paalne mein paida hui woh nashtari..

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

(Thaane se report aa gayi hai sir
Chhati ghati ki firing ke piche Alka ka hi hath tha
Oh damn it! Alka Alka Alka
Ye cheez kya hai Alka ??)

Tili baba ba ba ba dui da
Tili baba ba ba ba dui da
Taaye ro, taay ro, taay ro, taay ro, taay
ha ha ha ha..

Uske khilono mein khanjar tha, kenchi thi
Uski hatheli pe chhaala tha
Uske gharati bhi bichhoo thhe, billi thi
Usko sayyaron ne paala tha
Aayi jawaani toh woh janaani
Kheli apno ke khoon se, junoon se
Jungle ko jeeta, mutthi mein bheencha
Uske phira na jee saki sukoon se

Phir qisse mein jo mod aaya
Dil churaane jo chor aaya
Woh tha gudda aankh neeli zehreeli soorat liye
Kari uss kameene ne thaayn thaayn thaayn
Mohabbat ke seene mein thaayn thaayn thaayn

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

Woh khooni daldal ke manzar mein rehti thi
Par uske sapne salone thhe
Uski haveli mein jhoomar thhe, naukar thhe
Kaanton ke lekin bichhu bhi thhe
Kaante nikaale hanske uchhaale
Gham ke samandar ko pee gayi majaak mein
Uski mohabbat thi aisi hadd tak
Jaise jeeta ho ishq inquilab mein

Aasmaan bhi dehal ke roya
Bijliyon mein machal ke roya
Maut jis din gungunayi
Saanson mein uski suno
Yeh uski kahaani hai thaayn, thaayn, thaayn
Yeh sabko zabaani hai thaayn, thaayn, thaayn

Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn

(Bad news hai sir,
Hum Alka ko nahi pakad paaye,
Mujhe maaloom tha. Damn it!)


Revolver Rani

Song: Revolver Rani
Movie: Revolver Rani (2014)
Singer: Piyush Mishra
Lyrics Writer: Puneet Sharma
Music: Sanjeev Srivastava


Thaayein Kare Katta yahan dhakk dhani se
Chaaku ghuse chhaati mein phuck dhani se
Ghatna ke roadon ki taap suno ji
Ye kahaani hai kya mere baap suno ji

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaaga...
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani

Aakdi se hekdi ko khench ke nikal le
Arey goli maare karke pooche kaise ha ha haal chaal re
Maut ka yahaan jabar strike rate hai
Giddh aur cheel sabhi over-weight hai
Chaand jaise, thobde pe, chechako ke daag hai
Ishq waali paalti mein husn waale suraakh hain

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Radebaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani

Peeth par bhi chhaatiyan hain
Chhaati pe bhi peeth hai
Sawaal pooch ke dekhiye jawaab eent hai
Aisi tragedy ke aage Guide flop hai
Itne daag hain yahaan ki Tide flop hai
Adventure hi samajh ke kood jaana bhool hai
Aa hi jaao nark mein jo
Poodne ki chool hai

Raade-baaz...
Raade-baaz yahaan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par
Radebaaz yahan rani thaame revolver
Woh bhaga Romeo bechara dil leke apne hath par

Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani
Revolver rani ko chadhi hai jawaani
Mom ka hai moda uske ishq ki nishaani


Koshampa

Song: Koshampa
Movie: Kaanchi (2014)
Singer: Aman Trikha, Sanchita Bhattacharya, Anweshaa, Subhash Ghai
Music: Ismail Darbar
Lyrics: Irshad Kamil


Aaargh...

Koshampa...

Ishq mohabbat Koshampa
Zameen pe jannat Koshampa
Rui sa naram, Chai sa garam
Ishq mohabbat Koshampa
Tu meri jannat Koshampa

Mitti ke makaano mein hai
Dil ke dalano mein hai
Mitti ke makaano mein hai
Dil ke dalano mein hai
Dhalti dhalano mein hai Koshampa

Ram pa pa, Ram pa pa
Ram pa pa pa ra ra...

Bheegi bheegi waadiyaan hai, rooi si naram
Taana-baana rishton ka chai sa garam
Chhote chhote gharon pe hai rab ka karam
Pyaar ki paneeri bona gaaon ka dharam

Resham si dori mein
Rishton ki boondi
Chamke chamak si cham cham

Tera mera rishta kya
Aaje soche mil ke
Jisme bandhe hain tum-hum

Rishta roohani hai woh
Chunri sadaani hai
Rishta roohani hai woh
Chunri sadaani hai
Woh kehta kahaani hai woh Koshampa

Rooh ki riyaasat Koshampa
Dil ki hukumat, Koshampa
Ishq mohabbat Koshampa
Tu meri jannat Koshampa


Kaisa Hai Dard Mera

Song: Kaisa Hai Dard Mera
Movie: Kaanchi (2014)
Singer: Ankit Tiwari
Music: Ismail Darbar
Lyrics: Irshad Kamil


Ae hey... ae ae ae...

Soona soona joban
Sapne saavan saavan
Khaali khaali naina
Na rovan, na gaavan

Soona soona joban..
(Soona soona joban
Sapne saavan saavan
Khaali khaali naina
Na rovan, na gaavan)

Kaisa hai dard mera
Kaise kahoon o maa..
Kaisa hai dard mera
Kaise kahoon o maa..


Dardon se yaariyan huyi
Apnon se dooriyaan huyi
Jee ke bhi naa jee paayi main
Aisi majbooriyaan huyin..
Dekha na nigaahon mein nigaahein daal ke
Royi naa main tere gale baahein daal ke
Kaisa hai dard mera
Kaise kahoon o maa..

Chhote-mote dukhon ka hisaab
Joda bhi hai, joda bhi nahi
Maaye ni haalaaton ne mujhe
Toda bhi hai, toda bhi nahi
Badli hai maaye meri jeene ki adaa
Auron jaisi hoke bhi hoon auron se juda
Kaisa hai dard mera aa..
Kaise kahoon o maa..

Tu sab kuch, sab kuch re
Tu sab kuch, sab kuch re
Tu sab kuch, sab kuch re..


Main Mushtanda

Song: Main Mushtanda
Movie: Kaanchi (2014)
Singers: Mika Singh, Aishwarya Majmudar
Music: Subhash Ghai
Lyrics: Subhash Ghai


Ho...
Here we go..

Tu mushtanda..
Tu mushtanda, tu sexy
Tu chalti phirti taxi
Idhar nigaahein.. udhar nishana..
Na rukne wali taxi

Main beparwah mushtanda hoon
Kaali kartooto ka fanda hoon
Pariyon ke beech mein sutte kheench ke
Daaru ke nashe mein nanga hoon
Main beparwah mustanda hoon
ha ha ha...

Mere mann mein corruption.. ahaan
Mere tann mein seduction.. o hoy
Sab ko iski hai tension
Par apni ye intention
Shot lagaao, dhuaan udaao
Bagal mein rakho Marie
Arey bhaad mein jaaye Harry

Tu mushtanda
Tu hai gunda, par munda hai tu sexy
Tu chalti phirti taxi

Yeah! Legal-vegal nahi aata
Karta hoon jo mann ko bhaata
Apne mann mein sab kuch illeagal bhi hai legal
Ishq karun ya mushq karun, arey tanne kya
Arey lust karun ya love karun, abey tanne kya
Baawli booch
Cheat karun ya rob karun, abey tanne kya
Moral ya immoral, arey tanne kya...

Chak de fatte beta
Main sabse bada abhineta
Arey bhaad mein jaaye neta

Tu mustanda
Tu hai gunda, par munda hai tu sexy
Tu chalti phirti taxi

Main beparwah, main beparwah
Main beparwah mushtanda hoon
Kaali kartooto ka fanda hoon
Pariyon ke beech mein
Sutte kheench ke
Daaru ke nashe mein nanga hoon
Bada badmash main banda hoon
Bambay ka raja main ganda hoon
Khel ka kutta purana hoon
Main tabhi toh ab tak zinda hoon

Tere mann mein corruption.. ahaan
Tere tann mein seduction.. oy hoy

Mere mann mein corruption
Mere tann mein seduction
Mmm.. main mushtanda
Main hoon gunda
Par munda hoon main sexy
Na rukne waali taxi


Tu Sab Kuch Re

Song: Tu Sab Kuch Re
Movie: Kaanchi (2014)
Singer: 
Sonu Nigam & Anwesha Datta Gupta
Music: Ismail Darbar
Lyrics: Irshad Kamil



Ho ho...

Sa ga ga ma ga
Re ma ma pa ma
Tu dard mera, tu marham bhi
Tu meet mera, tu mehram bhi
Tu ishq mera, tu rashq mera
Tu khushi meri, tu ashq mera
Tu sab kuch, sab kuch re

Tu dard mera, tu marham bhi
Tu meet mera, tu mehram bhi

Tu ishq mera, tu rashq mera
Tu khushi meri, tu ashq mera..
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch re
O o...

Tu sab kuch sab kuch re.. haay!

Tu dard mera, tu marham bhi
Tu meet mera, tu mehram bhi
Tu ishq mera, tu rashq mera
Tu khushi meri, tu ashq mera..
Tu khushi meri, tu ashq mera..
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch re
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch re hey..

Tu aahaa ayehey oho aa..

Jab sapna tera, sapna tera aata hai
Palkein roshan ho jaati hain
Jab naam tumhara leta hoon
Saansein.. saansein chandan ho jaati hain

Aaa... ha ha..
Main sar se lekar paaon tak.. (hayi shava)
Tere pyar ki maari lagti hoon.. (hayi shava)
Main apni bhi ab nahin rahi saiyon
Main apni bhi ab nahin rahi
Main sirf tumhaari lagti hoon

Tu bol mera, tu baat meri
Tu deen mera, tu zaat meri
Tu ishq mera, tu rashq mera
Tu khushi meri, tu ashq mera..
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch re..
Tu sab kuch, sab kuch, sab kuch re.. ho!

Rahe suhagan chaand si dulhan
Maang sindoori ho
Rangrasiya se premi piya se
Kabhi na doori ho
Haathon mein tere piya ki mehndi
Goondhi goondhi ho
Ho kaanchi re.. kaanchi re..
Ho kaanchi re.. kaanchi re..

Ho ho...
Ta ra ram pam...


Kaanchi Re Kaanchi

Song: Kaanchi Re Kaanchi
Movie: Kaanchi (2014)
Singer: Sukhwinder Singh
Music: Ismail Darbar
Lyrics: Irshad Kamil


Hey.. Ho..

Kadak dhoop aur thandi chhaaon
Ek akeli poora gaaon
Poochhoge ab uska naao (naam)
Kya ??
Kanchi re kanchi
Kanchi re kanchi
Kanchi re kanchi
Kanchi re kanchi

Oh ho... ho ho.. ho ho..

Kadak dhoop aur thandi chhaaon
Ek akeli poora gaaon
Poochhoge ab uska naao, Kya ??
Kaanchi re kaanchi, Kanchi re...
Kaanchi re kaanchi, Kanchi re...

Choti mein woh toofan baandhe
(toofan baandhe!)
Barkha mein woh aag lagaaye
(aag lagaaye!)
Titli hai yaa bijli hai woh..
Kya hai samajh na aaye

Hello ji Hi Hi haaye
Naino se duniya ghumaaye
Seedhi saachi baat hamesha boli saanchi
Saanchi re..
Kaanchi re kaanchi, kanchi re..
Kaanchi re kaanchi, kanchi re..

Saanchi tu to kaanch ke jaisi.. hey hey hey hey
Tezz bhi hai par aanch ke jaise
Mere desh ki ladki hai
Duniya samajh ye jaaye

Hello ji Hi Hi haaye
Saaton hi rang woh dikhaaye
Saari duniya uske dil se parkhi jaanchi
Kaanchi re kaanchi, kanchi re..

Kadak dhoop aur thandi chhaaon
Ek akeli poora gaaon
Poochhoge ab uska naao.. kaanchi re..
Kanchi re kanchi
Kanchi re kanchi


O Kamini

Song: O Kamini
Movie: Rang Rasiya (2014)
Singer: Sonu Nigam
Music: Sandesh Shandilya
Lyrics: Manoj Muntashir


Yaad hai apna pehla milan
Shristi ka wo pehla saavan
Tu yugon ki pyaasi dharti thi
Tujhe prem ke baadal ghere thhe
Tere tapte huey tan pe
Jo jhare wo meghdoot sab mere thhe
O kamini, o kaamini

Tere tan mandir mein, mera mann khoya
Jaaga sapna soya soya
Bade lootere naina tore
Sudh-budh main toh bhool gayo re
Ek lachak mein, sau hilkore
Jogan bhaag jagaa de more
O kamini, o kamini
O kaamini..

Kaaya teri, maaya darpan
Ye Indradhanush tujhko arpan
Aa odh loon tujhko o bairan
Jaise dharti odhe neel-gagan
Hum milenge ye tab se tay tha
Jab chamak nahi thi taaron me
Na soch ye neeti kya kehti hai
Aa beh ja meri dhaaron mein
O Kamini.. o Kamini
O Kamini (o kamini..)
O Kaamini..


ad

In Association with Amazon.in