Wednesday, April 22, 2015

Teri Meri Baatein

Song: Teri Meri Baatein
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Anupam Roy


Aankhon ki nami
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Aanchal jo udaa
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Leharon se hai
Saagar se gehri bhi hai
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..

Har saans sunaati hai, tera hi naam
Palko ke chaaon mein, do pal ka aaraam
Kacche ye dhaage hain, kacche hain rang
Chhu loon toh jee bhi loon, kuch tere sang

Leharon se hai
Saagar se gehri bhi hain
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..

Main neend bulaata hoon, haathon mein haath
Chaadar ke kone mein, reh jaati baat
Khwabon ki nishaani hai, aasmaan ke paar
Jis raat ke seene mein, chhalka hai pyaar

Aankhon ki nami
Haan teri meherbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Aanchal jo udaa
Haan teri meharbaani hai
Thodi si ummeedon se aage
Aisi kahaani hai

Leheron se hai
Saagar se gehri bhi hai
Ye teri meri baatein
Rulaati bhi hain
Gham mein hansati bhi hai
Ye teri meri baatein
Ye teri meri baatein..


Piku (Title)

Song: Piku (Title)
Movie: Piku (2015)
Singer: Sunidhi Chauhan
Music: Anupam Roy
Lyrics: Manoj Yadav


Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai
Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai

Panna saanson ka palte
Aur likhe unpe mann ki baat re
Lena isko kya kis se
Isko toh bhaaye khudka saath re
Uh oh.. barish ki boond jaise
Sardi ki dhundh jaise
Kaisi paheli iska hal na mile

Kabhi ye aasmaan utaarti hai neeche
Kabhi ye bhaage aise baadalon ke peeche
Isey har dard ghoont jaane ka nasha hai
Karo jo aaye jee mein iska falsafa hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Ye pyaar ki khuraak si hai Piku!

Mode raahon ke chehre
Isko jaana hota jis ore hai
Aise sargam sunaaye
Khud iske sur hain iske raag re
Uh oh.. roothe toh mirchi jaisi
Hansde toh cheeni jaisi
Kaisi paheli iska hal na mile

Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai


Lamhe Guzar Gaye

Song: Lamhe Guzar Gaye
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Anupam Roy

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein
Pal mein rula diya
Pal mein hansa ke phir
Reh gaye hum bhi raahon mein

Thoda sa paani hai, rang hai
Thodi si chhaaon hai
Chubhti hai aankhon mein dhoop ye
Khuli dishaa hoon main
Aur dard bhi meetha lage
Sab faasle ye kam huve
Khwaabon se raste sajaane to do
Yaadon ko dil mein basaane to do

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein

Thodi si berukhi jaane do
Thodi si zindagi..
Laakhon sawaalon mein dhoondu kya
Thak gayi ye zameen
Jo mill gaya ye aasmaan
Lo aasmaan se maangu kya

Khwabon se raste sajaane to do
Yaadon ko dil mein basaane to do

Lamhe guzar gaye
Chehre badal gaye
Hum thhe anjaani raahon mein
Pal mein rula diya
Pal mein hansa ke phir
Reh gaye hum bhi raahon mein

Lamhe guzar gaye... (x6)


Bezubaan

Song: Bezubaan
Movie: Piku (2015)
Singer: Anupam Roy
Music: Anupam Roy
Lyrics: Manoj Yadav, Anupam Roy

Kis lamhe ne thaami ungli meri
Phusla ke mujhko le chala
Nange paaon daudi aankhein meri
Khwabon ki saari bastiyan
Har dooriyaan har faasle qareeb hain
Iss umr ki bhi shakhsiyat ajeeb hai

Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
Iss jeene mein kahin hum bhi thhe
Thhe zyada ya zara kam hi thhe
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan

Jeene ki ye kaise aadat lagi
Bematlab ye karze chadh gaye
Haadson se bach ke jaate kahaan
Sab rote hanste seh gaye
Ab ghalatiyan jo maan li toh theek hai
Kamzoriyon ko jo maat di toh theek hai

Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan


Journey Song

Song: Journey Song
Movie: Piku (2015)
Singers: Anupam Roy & Shreya Ghoshal
Music & Lyrics: Anupam Roy

Dheere chalna hai mushkil to jaldi hi sahi
Aankhon ke kinaaro mein bahaane hi sahi

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
Waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

Shabdon ke pahaadon pe likhi hai dastaan
Khwabon ke lifaafon mein chhupa hai raasta

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
O.. waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

(Bengali Verse)
O.. aakash, o.. palash rashi rashi
Ektu sobuje chokh muchiye de...
Ghor chhara manusher mone

O.. jiya, O.. guzarte nazaare
Rang udaane de
Hum nashe mein hain
Bhool gaye sawaalon ko saare

Mehaki si hawaon mein chale hain hum kahin
Hum jo chaahe dil ko wo pata hai ya nahi

Hum chale baharon mein
Gungunati raahon mein
Dhadkane bhi tez hain
Ab kya karein
O.. waqt hai toh jeene de
Dard hai to seene de
Khwahishein anjaan hai
Ab kya karein

O.. aakash, o.. palash rashi rashi
Ektu sobuje chokh muchiye de...
Ghor chhara manusher mone

O.. jiya, O.. guzarte nazaare
Rang udaane de
Hum nashe mein hain
Bhool gaye sawaalon ko saare


Dhol Baaje

Song: Dhol Baaje
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Monali Thakur
Backing Vocals: Meet Bros Anjjan, Ved, Ambresh, Ashish
Music: Meet Bros. Anjjan
Lyrics: Kumaar


Sooni si kalaai mein itraane laga sona kangna
Lee jo angdaai, gungunane laga mora angna
Hey sooni si kalaai mein itraane laga sona kangna
Ho.. lee jo angdaai, gungunane laga mora angna

Meri khushboo se khile kaliyaan
Chaand dhoonde bas mori galiyaan

Khanak khanak ke chhanak chhanak ke
Chhanak chhanak ke khanak khanak ke 
Bol rahe hain paijaniya ke bol
Ki dholi taaro dhol.. dh dh dhol..
Dh dh dhol.. dh dh dhol.. dh dh dhol
Ke dholi taaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham baaje baaje
Ke dholi taaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham dham baaje dhole

Kaari ankhiyon mein kajra lagaya hai
Kaare kaare baalon mein gajra sajaya hai
Kaari ankhiyon mein kajra lagaya hai
Ho Kaare kaare baalon mein gajra sajaya

Bole maathe ki ye mori bindiya
Maine khud hi chura li nindiya

Khanak khanak ke chhanak chhanak ke
Chhanak chhanak ke khanak khanak ke 
Bol rahe hain paijaniya ke bol
Ki dholi taaro dhol.. dh dh dhol..
Dh dh dhol.. dh dh dhol.. dh dh dhol
Ke dholi taaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham baaje baaje
Ke dholi taaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham dham baaje dhole

Meri taarifein mere charche sitaron mein
Mera jaisa koi nahi laakhon hazaron mein
Ho Meri taarifein mere charche sitaron mein
Mera jaisa koi nahi laakhon hazaron..

Choome meri gaalon ko ye jhumke
Karte ghayal sabko more thumke

Khanak khanak ke chhanak chhanak ke
Chhanak chhanak ke khanak khanak ke 
Bol rahe hain paijaniya ke bol
Ki dholi taro dhol.. dh dh dhol..
Dh dh dhol.. dh dh dhol.. dh dh dhol
Ke dholi taro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham baaje baaje
Ke dholi taaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham dham baaje dhole

Ke dholi thaaro dhol baaje
Dhol baaje, dhol baaje dhol
Ke dham dham dham baaje baaje
Ke dham dham baaje baaje
Ke dham dham dham baaje baaje


Ek Do Teen Chaar

Song: Ek Do Teen Chaar
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Neha Kakkar, Tony Kakkar
Music & Lyrics: Tony Kakkar


Mera party da mood
Mujhko shopping kara de dude
Dollar de ya pound de de
Oh meri jaan don't be rude (x2)

Ek do teen chaar
Teri kamar pe mera haath
Haath ye mera kare shaitani
Wapas ghar pe chal na yaar (x2)

Maine ghar nahi jaana yaar
Yaar-yaar yaar-yaar
Shaam ko party karenge yaar
Yaar-yaar yaar-yaar (x2)

Naachungi teri main dhadkan ke music pe
Jitna nachaa le tu yaar
Tu shine karta hai, tujhme chamak hai
Tu hi sona sona mera yaar

Ghar nahi jaana saari raat
Chaaron band kar do ji door
Shopping hopping on the street
Jaana love me thoda more

Mera party da mood
Mujhko shopping kara de dude
Dollar de ya pound de de
Oh meri jaan don't be rude

Ek do teen chaar
Teri kamar pe mera haath
Haath ye mera kare shaitani
Wapas ghar pe chal na yaar (x2)

Maine ghar nahi jaana yaar
Yaar-yaar yaar-yaar
Shaam ko party karenge yaar
Yaar-yaar yaar-yaar (x2)

1 2 3 4...
Teri kamar pe mera haath
Haath ye mera kare shaitani
Wapas ghar pe chal na yaar (x2)


Khuda Bhi

Song: Khuda Bhi
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Mohit Chauhan
Music: Tony Kakkar
Lyrics: Manoj Muntashir

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!
Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon
Aasmaan se aayi hai, yehi keh ke taal doon
Phir bhi koi jo pooche, kya hai tu kaisi hai
Hathon me rang leke, hawaa me uchaal doon
(hawaa mein uchhal doon..)

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!

Jo bhi zameen tere paaon tale aaye
Kadmon se chooke woh aasmaan ho jaaye
Tere aage pheeke pheeke saare shringar hai
Main toh kya farishte bhi tujhpe nissar hain
Garmi ki shaam hai tu, jaadon ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain
(tere karzdaar hain..)

Khuda bhi jab tere andaaz dekhta hoga
Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!

Chehra hai ya jaadu, roop hai ya khwab hai
Aankhein hain ya afsaana, jism ya kitaab hai
Aaja tujhe main padh loon, dil mein utaar loon
Hothon se dekhun tujhe, aankhon se pukar loon
Khwahishein ye kehti hain, kehti rehti hain
Leke tujhe baahon mein shaamein guzaar loon
(shaamein guzaar loon..)

Khuda bhi ab tujhe din raat dhoondta hoga
Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!


Glamorous Ankhiyaan

Song: Glamorous Ankhiyaan
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Krishna Beura
Music: Meet Bros Anjjan
Lyrics: Kumaar

Thaare liye chhode takht o taaj
Mhaare dil pe tu kar le raaj
Thaare liye chhode takht o taaj
Mhaare dil pe tu kar le raaj

O re piya, o re piya
Morey piya, morey piya
Teri glamorous ankhiyaan, glamorous akhiyaan
Ban gayi mori sakhiyan, glamorous akhiyan (x2)

O...

Ud ud jaave mori chunariya
Ud ud jaave mori chunariya
Tore piche bhaage morey sanwariya
Tore piche bhaage morey sanwariya

Mere dil ki tu sun aawaaj
Morey prem ki rakh le laaj
Mere dil ki tu sun aawaaj
Morey prem ki rakh le laaj

Ye jaagirein dil jaagirein
Ye jaagirein dil jaagirein
Tere liye maine rakhiyaan, glamorous akhiyan
Ban gayi mori sakhiyan.. glamorous akhiyan

Dil ki deewaron pe teri tasveerein
Dil ki deewaron pe teri tasveerein
Haathon mein tere hain meri taqdeerein
Haathon mein tere hain meri taqdeerein

Ishq mein tere saanjh savere
Ishq mein tere saanjh savere
Maine kiye hain sajde tere
Maine kiye hain sajde tere

Tu na jaane.. tu na jaane..
Tu na jaane.. tu na jaane..
tose yaariyan hai pakkiyan, glamorous akhiyan
Ban gayi mori sakhiyan, glamorous akhiyan

O re piya o re piya
Morey piya morey piya
Teri glamorous ankhiyaan, glamorous akhiyaan
Ban gayi mori sakhiyan.. glamorous ankhiyaan

O...

Glamorous ankhiyaan!


Main Hoon Deewana Tera

Song: Main Hoon Deewana Tera
Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Singer: Arijit Singh
Music: Meet Bros Anjjan
Lyrics: Kumaar


Deewana deewana deewana deewana
Deewana deewana deewana hai.. (x2)

Naa jaanu main kaisi ye bekarari hai
Shayad dil ke jaane ki ab taiyari hai (x2)

Tu dil ka thikana, hoon tera deewana

Deewana tera.. tujhe hi bulaaye
Ye marzi teri.. tu aaye na aaye

Deewana tera.. tujhe hi bulaaye
Ye marzi teri.. tu aaye na aaye

Deewana deewana deewana deewana
Deewana deewana deewana hai..

Pooche nigaahein meri
Hai kahaan raahein teri
Jaane kyun naa jaane tu
Tanha hai baahein meri (x2)

raat bhi guzaari hai
Jo utre na teri hi toh khumaari hai
Mushqil hai bhulaana, hoon tera deewana..

Deewana tera.. tujhe hi bulaaye
Ye marzi teri.. tu aaye na aaye (x2)

Dil mein jo armaan jaage
Teri hi peeche bhaage
Rukna hai tujhpe ab toh
Jaane nahin hai aage (x2)

Soorat ye yun aankhon mein utaari hai
Maine toh bhulaai duniya saari hai
Hai tujhko bataana.. hoon tera deewana

Deewana tera tujhe hi bulaaye
Ye marzi teri tu aaye na aaye (x2)


ad

In Association with Amazon.in